main agar surat-e-parwana fida ho jata un ko andaza-e-ain-e-wafa ho jata apni qudrat se liya kaam ilahi tu ne warna is daur ka har shakhs khuda ho jata hum ne taqdir ke mafhum ko samjha warna hum ko bhi shikwa-e-arbab-e-jafa ho jata tum agar dekhne wale ko nazar aa jate hashr se pahle hi ek hashr bapa ho jata apne gulshan ko wo dozakh na samajhta shayad yak gosha bhi jo firdaus-numa ho jata tu ne pahchan liya ishq ki qadron ka mizaj ye na puchh aaj teri bazm mein kya ho jata apni ghairat se bachae raha apne ko 'aziz' warna ahbab ke hathon hi fana ho jata