nairangi-e-nashat-e-tamanna ajib hai kuchh sham se qafas mein ujala ajib hai sharma rahe hain tar-e-gareban-e-chaak-e-dil kuchh din se rang-e-lala-e-sahra ajib hai har khwab-e-e'tibar shikaston se chur hai dil mein magar ghurur-e-tamanna ajib hai sara badan hai dhup mein jhulsa hua magar dil par jo pad raha hai wo saya ajib hai phenke nahin hain aaj talak reza-ha-e-dil tute talluqat ka rishta ajib hai jab tak nazar na kijiye yak qatra khun hai dil lekin jo dekhiye to ye duniya ajib hai 'akhtar' ye tere panw ke kante nae nahin kanton se khelta hua chhaala ajib hai