main akela hun yahan mere siwa koi nahin chal raha hun aur mera naqsh-e-pa koi nahin zehn ke tarik goshon se uthi thi ek sada main ne puchha kaun hai us ne kaha koi nahin dekh kar har ek shai ka faisla karte hain log aankh ki putli mein kya hai dekhta koi nahin kis ko pahchanun ki har pahchan mushkil ho gai khud-numa sab log hain aur runuma koi nahin naqsh-e-hairat ban gai duniya sitaron ki tarah sab ki sab aankhen khuli hain jagta koi nahin ghar mein ye manus si khushbu kahan se aa gai is kharabe mein agar aaya gaya koi nahin paikar-e-gul aasmanon ke liye betab hai khak kahti hai ki mujh sa dusra koi nahin umr bhar ki talkhiyan de kar wo rukhsat ho gaya aaj ke din ke siwa roz-e-jaza koi nahin