khak o khun ki nai tanzim mein shamil ho jao zinda rahna ho tumhein bhi to mera dil ho jao be-badan ruh bane phirte rahoge kab tak jao chupke se kisi jism mein dakhil ho jao shahr tum ko jo pareshan bahut karta hai dasht ban jao aur is shahr pe nazil ho jao nakhun-e-ishq se phir sahl bana lenge tumhein sohbat-e-shahr mein tum kitne hi mushkil ho jao be-natija hi rahega ye musalsal takrao ya to duniya ke bano ya mutabaadil ho jao haq-parasti bhi ajab kar-e-mohabbat hai jahan ek qadam had se guzar jao to baatil ho jao 'farhat-ehsas' thahar jao ye ujlat kaisi abhi kuchh aur bhi ho lo kisi qabil ho jao