main apne aap ko rokun kahan tak fughan jati hai meri la-makan tak tere qadmon ki aahat gunjti hai wahin tak main gai hun tu jahan tak nazara bhi hasin tha qurbaton ka dhanak phaili zamin se aasman tak jahan pe tirgi bhi raushni ho kabhi dekha hai tum ne kya wahan tak