main apne-ap se barham tha wo khafa mujh se sukun se kaise guzarta ye rasta mujh se ghazal suna ke kabhi nazm gunguna ke meri wo kah raha tha mere dil ka majra mujh se guzar ke waqt ne gunga bana diya tha jinhen wo lafz mang rahe hain nai sada mujh se na gul ki koi khabar hai na baat gulshan ki khafa si lagti hai kuchh roz se saba mujh se wo jis ne khwab mere pal mein qatl kar dale khiraj mangne aaya hai khun ka mujh se niyaz-mand raha main bhi us ka sab ki tarah ki koi bhanp na le us ka silsila mujh se aziz mujh ko hain tufan sahilon se siwa isi liye hai khafa mera nakhuda mujh se na jaane kaun si mahfil mein kis ke sath hun main hai munqat'a mera apna bhi rabta mujh se bas ek bar nazar bhar ke main ne dekha tha nazar mila na saka phir wo be-wafa mujh se