naya ek zakhm khana chahta hun main jine ko bahana chahta hun rula deti hai har sachchi kahani main ek jhuta fasana chahta hun mahak se jhum uthe sara jiwan main aisa gul khilana chahta hun mohabbat meri behad khud-gharaz hai tujhe sab se chhupana chahta hun ye pagal-pan nahin to aur kya hai main sach-much muskurana chahta hun bahut masum tha wo daur-e-wahshat main phir jangal basana chahta hun khao khwab ya lahrao saghar main khud ko bhul jaana chahta hun khudaya dard ko de aur shiddat ki main ab haar jaana chahta hun wo aa jaen to dil par ho na qabu wahi qissa purana chahta hun mere har dukh ka karan hain ye aankhen main ye dipak bujhana chahta hun koi shahzad ko mujh pas lae main us ka dukh batana chahta hun