main apne dast par shab KHwab mein dekha ki aKHgar tha

main apne dast par shab khwab mein dekha ki akhgar tha
sahar ko khul gai jab aankh mera hath dil par tha

na thi ta-subh kuchh hajat charag o shama o mishal ki
hamari bazm mein shab jalwa-gar wo mah-e-paikar tha

teri ek jumbish-e-abru se aalam ho gaya zae
nazar kar jis taraf dekha to jo dhad tha so be-sar tha

tu is raftar o qad se jis taraf guzra mere sahib
tere faiz-e-qadam se har qadam sarw o sanobar tha

na thi parwaz ki taqat sar-e-diwar-e-gulshan tak
ki jo tair tha so sayyaad ke hathon se be-par tha

chala jata tha 'hatim' aaj kuchh wahi-tabahi sa
jo dekha hath mein us ke tere shikwe ka daftar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close