raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein

raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
hum ne khush ho ke bhanwar bandh liye panw mein

un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talash
bund tak bhi na bo sake jo kabhi sahraon mein

a mere ham-safaro tum bhi thake-haare ho
dhup ki tum to milawat na karo chhanw mein

jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj
bat na jae tera bimar masihaon mein

hausla kis mein hai yusuf ki kharidari ka
ab to mahngai ke charche hain zulekhaon mein

jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein

wo khuda hai kisi tute hue dil mein hoga
masjidon mein use dhundo na kalisaon mein

hum ko aapas mein mohabbat nahin karne dete
ek yahi aib hai is shahr ke danaon mein

mujh se karte hain 'qatil' is liye kuchh log hasad
kyun mere sher hain maqbul hasinaon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close