main apne hisse ki tanhai mahfil se nikalunga jo la-hasil zaruri hai to hasil se nikalunga mere khun se zyaada tu meri mitti mein shamil hai tujhe dil se nikalunga to kis dil se nikalunga mujhe malum hai ek chor darwaza aqab mein hai magar is bar main rasta muqabil se nikalunga shabihon ki tarah qabren mujhe aawaz deti hain main aks-e-raftgan aaina-e-gul se nikalunga hujum-e-sahl-angaran mere hamrah chalta hai main jaise rah-e-asan rah-e-mushkil se nikalunga bharam sab khol ke rakh dunga masnui mohabbat ke koi taza fasana dasht-o-mahmil se nikalunga tumhein ab tairna khud sikh lena chahiye 'shahid' tumhein kab tak main girdab-e-masael se nikalunga