mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta

mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta
kuchh aisi baat hai inkar bhi karte nahin banta

khulus-e-naz ki tauhin bhi dekhi nahin jati
shuur-e-husn ko bedar bhi karte nahin banta

tujhe ab kya kahen ai mehrban apna hi rona hai
ki sari zindagi isar bhi karte nahin banta

sitam dekho ki us be-dard se apni ladai hai
jise sharminda-e-paikar bhi karte nahin banta

ada ranjidagi parwangi aansu-bhari aankhen
ab itni sadgi kya pyar bhi karte nahin banta

jawani mehrbani husn bhi achchhi musibat hai
use achchha use bimar bhi karte nahin banta

bhanwar se ji bhi ghabraata hai lekin kya kiya jae
tawaf-e-mauj-e-kam-raftar bhi karte nahin banta

isi dil ko bhari duniya ke jhagde jhelne thahre
yahi dil jis ko duniya-dar bhi karte nahin banta

jalati hai dilon ko sard-mehri bhi zamane ki
sawal-e-garmi-e-bazar bhi karte nahin banta

'khizan' un ki tawajjoh aisi na-mumkin nahin lekin
zara si baat par israr bhi karte nahin banta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close