main apne ishq ko khush-e-ehtimam karta hua maqam-e-shukr pe pahuncha kalam karta hua ye gard-baad salamat guzarna chahta hai mere charagh pe wahshat tamam karta hua guzar raha hun kisi qariya-e-malamat se qadim silsila-dari ko aam karta hua to phir ye kaun hai nisfunnahaar ke hangam qayam o raqs ki haalat mein sham karta hua kabhi to khul ke bata ai meri riyazat-e-marg main kaisa lagta hun fikr-e-dawam karta hua zamanon baad bhi dasht-e-bala mein mera 'husain' dikhai deta hai hujjat tamam karta hua