maza kya jo yunhi sahar ho gai

maza kya jo yunhi sahar ho gai
nahin bhi pahar-do-pahar ho gai

tere gham mein shab yun basar ho gai
gharaz rote rote sahar ho gai

na aaina har waqt dekha karo
kahoge kisi ki nazar ho gai

jo bandhi kamar qatl-e-ushshaq par
kamar to na thi par kamar ho gai

sabab un ki ranjish ka kahna nahin
koi puchhe kis baat par ho gai

labon par thaharne se ai jaan! husul
idhar aa gai ya udhar ho gai

koi baat ulfat ki ab to nahin
jo kuchh ho gai peshtar ho gai

tera wada go jhut hi kyun na ho
tasalli hamari magar ho gai

taghaful hai har baat par kis liye
mere dil ki tujh ko khabar ho gai

qayamat ke aasar bhi ho gae
shab-e-gham daraaz is qadar ho gai

manana rulana hi baham raha
shab-e-wasl yunhi sahar ho gai

nahin kya karoge na hum ko sunao
shikayat adu ki magar ho gai

khuda hai jo is but se phir ho milap
gharaz aaj to is qadar ho gai

kaha bhi to us ne kuchh aisa nahin
zara baat mein chashm tar ho gai

na mana na mana usi shokh ne
ki duniya udhar ki idhar ho gai

tumhein zid na milne ki hai kis liye
meri aah kya be-asar ho gai

wo wade se kyun phir gae kah tu kuchh
ye kya baat ai nama-bar ho gai

ye qismat hua wasl bhi gar nasib
to ranjish bhi har baat par ho gai

wo aae bhi yan us se ai dil husul
koi dam ko taskin agar ho gai

tere gham mein ye haal to ho gaya
khushi ab teri fitnagar ho gai

ye jhuti mohabbat se un ki husul
shikayat adu ki agar ho gai

unhen sulh manzur hai mujh se kab
kahun kya hui kyunki par ho gai

nizam us ghadi ka kahun haal kya
jab us ne kaha wo sahar ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close