main apne khwab mein kuchh khak mein milati hun na jaane khak se aisa main kya uthati hun sitare bhar ke main daman mein jab bhi lati hun tumhaari rah mein phir shauq se bichhati hun ki pyas dekh rahe hain ye tishna-lab mere main ashk piti hun aur tishnagi mitati hun zamane bhar se wo mujh ko hasin lagta hai zamane bhar se yahi baat main chhupati hun kabhi kabhi to mujhe yaad tak nahin rahta ki chand jalta hai shab mein ya dil jalati hun main likh rahi hun mohabbat pe ek nazm magar kabhi main likhti hun us ko kabhi mitati hun karo ye wada ki mujh se khafa nahin hona main manti hun ki main baat ko badhati hun fasane likhti hun main gham-zada mohabbat ke main dard likhti hun aur dard hi kamati hun