pile pile chehron mein ubhri hai aaj ki sham kar sakta hun kyunkar main ye sham tumhaare nam sail-e-zaman mein dub gae mashhur-e-zamana log waqt ke munsif ne kab rakkha qaem un ka nam shohrat-e-am mein zarrin tamghe the dil ki taskin lekin qabr ke katbe par kab darj hue inam jashn-e-murawwat mein logon ki unchi udi patang marg-e-murawwat mein un sab ka 'anwar' roya nam