main apne par bhi udanen bhi khud banaungi nishana leti kamanen bhi khud banaungi hawa se faiz ki ummid tak nahin mujh ko so unchi nichi udanen bhi khud banaungi main harf likhungi pahle waraq pe ghayal sa phir us ki zakhm ki tanen bhi khud banaungi mukalima bhi naya hoga aapsi sab ka jahan-e-nau ki zabanen khud banaungi main munhadim karungi sab ghanim diwaren qile ke gird chattanen bhi khud banaungi hansi ko main ne hi show-case mein saja diya tha aur ab khushi ki dukanen bhi khud banaungi kahin se milte hain patal ab talluq ke main ye amiq dhalanen bhi khud banaungi