rah-e-safar mein rahe aur hayat se guzre

rah-e-safar mein rahe aur hayat se guzre
ki ek rang mein kitne jihat se guzre

bade sukun se hum ehtiyat se guzre
qadam jama ke chale kaenat se guzre

hai koi azm-e-jawan aur na kuchh junun-khezi
be-dast-o-pa hi rahe mumkinat se guzre

yaqin dil mein raha teri dilrubai ka
so jag jag ke hum sari raat se guzre

koi natija kahan baat ka nikal paya
ki ek baat hi kya baat baat se guzre

taghayyuraat ki duniya mein hum rahe har dam
ki sote jagte hum bhi hayat se guzre

kabhi na khud ko kiya waqf-e-inhimak-e-wajud
'obaid' bach ke rahe hadsat se guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close