main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main na jaane aks hun chehra hun ya phir aaina hun main meri majburiyan dekho ki yakjai ke paikar mein kisi bikhre hue ehsas mein simta hua hun main mere andar ke mausam hi mujhe tamir karte hain kabhi sairab hota hun kabhi sahra-numa hun main jo hai wo kyun hai aakhir jo nahin hai kyun nahin hai wo isi gutthi ko suljhane hi mein uljha hua hun main ye baat ab kaise samjhaun main in masum jharnon ko guzar kar kin marahil se samundar se mila hun main tabhi to 'shad' main hun mo'tabar apni nigahon mein manazir ko badi sanjidgi se sochta hun main