na chashm-e-tar batati hai na zakhm-e-sar batate hain wo ek rudad jo sahme hue ye ghar batate hain main apne aansuon par is liye qabu nahin rakhta ki mere dil ki haalat mujh se ye behtar batate hain unhen dil ki sadaon par bhala kaise yaqin hoga ye aankhen to wahi sunti hain jo manzar batate hain yaqinan phir kisi ne jurat-e-parwaz ki hogi yahan chaaron taraf bikhre hue ye par batate hain kahan gum ho gaya hai raste mein wo musafir bhi na kuchh rahzan batate hain na kuchh rahbar batate hain zara ye dhup dhal jae to un ka haal puchhenge yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain tujhe bhi 'shad' apni zat se bahar nikalna hai sadaf ki qaid se nikle hue gauhar batate hain