main apne ru-e-haqiqat ko kho nahin sakta wo khwab dekh liya hai ki so nahin sakta tamam paikar-e-bad-surati hai mard ki zat mujhe yaqin hai khuda mard ho nahin sakta ab apna ghair hi ho lun ki koi rah khule jo hona chahta hun wo to ho nahin sakta bada sahi pa hai na-jins aasman ka bij ise main apni zaminon mein bo nahin sakta phanse hue hain khud apni hi bhid mein aansu main rona chahta hun aur ro nahin sakta tum apne jism ke kuchh to charagh gul kar do main raushni hun ziyaada to so nahin sakta tumhaare zakhm hain 'ehsas' aur mitti ke main aansuon se to ye zakhm dho nahin sakta