teri talash to kya teri aas bhi na rahe ajab nahin ki kisi din ye pyas bhi na rahe har ek samt khala hi khala nazar aaen kharaba-e-dil-e-viran mein yas bhi na rahe gham-e-firaq ki talkhi wo dasht hai ki jahan koi qarib to kya aas-pas bhi na rahe tera khayal hi par tol kar uda le jae koi umid sharik-e-hawas bhi na rahe tamam rang hai khushbu tamam khushbu rang gulon se rang uda len to bas bhi na rahe luta hai qafila-e-agahi do-rahe par zamana-saz to kya khud-shanas bhi na rahe kisi tariq se 'shahzad' dil ko samjha len na muskurae magar yun udas bhi na rahe