main apne shahr mein apna hi chehra kho baitha ye waqia jo sunaya to wo bhi ro baitha tumhaari aas mein aankhon ko main bhigo baitha ki dil mein yas ke kante kai chubho baitha mata-e-haal na mazi ka koi sarmaya nadi mein waqt ki har chiz ko dubo baitha sunahre waqt ki tahriren jin mein thin mahfuz main un sahifon ko ashkon se apne dho baitha main sunta rahta tha jis aaine ki sargoshi wo shahr-e-sang mein apni jila bhi kho baitha kisi babul ke sae tale mili jo aman to apne panw mein kante bhi main chubho baitha wahi raha hai bahar-taur shadman 'nayyar' jo apne gham mein gham-e-digaran samo baitha