main mahal ret ke sahra mein banane baiTha

main mahal ret ke sahra mein banane baitha
chand alfaz ko mazi ke bhulane baitha

hadse se hi hua gham ka mudawa mere
falsafa sabr ka logon ko padhane baitha

thak ke sae mein babulon ke sukun jab chaha
us ka har patta mujhe kante lagane baitha

jis ne toda sabhi naton sabhi rishton ko mere
umr bhar ka wahi ab qarz chukane baitha

us ke talkhab se kab pyas meri bujh pai
ghar samundar ke kinare hi basane baitha

jism ke bakhiye jo udhde to udhadte hi rahe
jama resham ka pahne ko silane baitha

log the gird alaw ke magar main 'nayyar'
jism ki aag ko pani se bujhane baitha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close