main apne suraj ke sath zinda rahunga to ye khabar milegi gulab kis shakh par khilega charagh ki lau kahan rukegi main zina-e-khwab se utar kar sahar talak aa to jaun lekin ye sham mujh par ayan na hogi ye shab mujhe rasta na degi jo rang mujh mein sanwar rahe the wo sham hote hi kho gae hain jo shama mere wajud mein jal rahi hai kis subh tak jalegi sahar hui to meri thakan se nidhaal aankhon ke thamne ko ye nur kis samt mein dhalega ye chhanw kis or se badhegi main ek nizam-e-kohan ke narghe mein sans le kar bhi sochta hun ki subh kaise tulua hogi ki sham kis rang mein dhalegi main apne ham-rah ek duniya ko le ke jab chal padunga 'sajid' zamin pani ke narm dhaare pe kya yunhi ghumti rahegi