kabhi kabhi yun bhi humne apne ji ko bahlaya hai

kabhi kabhi yun bhi hum ne apne ji ko bahlaya hai
jin baaton ko khud nahin samjhe auron ko samjhaya hai

hum se puchho izzat walon ki izzat ka haal kabhi
hum ne bhi ek shahr mein rah kar thoda nam kamaya hai

us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun
aangan mein hanste bachchon ko be-karan dhamkaya hai

us basti se chhut kar yun to har chehre ko yaad kiya
jis se thodi si an-ban thi wo aksar yaad aaya hai

koi mila to hath milaya kahin gae to baaten kin
ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close