main apne waste rasta naya nikalta hun dalil-e-sher mein thoda sa kashf dalta hun bahut sataya hua hun laim duniya ka sakhi hun dil ki purani khalish nikalta hun zamana kya hai kabhi man ki mauj mein aaun to nok-e-naqsh pe apni use uchhaalta hun ye mera kunj-e-makan mera qasr-e-ali hai main apna sikka-e-raej yahin pe dhaalta hun meri ghazal mein zan-o-mard jaise baham hon ise jalalta hun phir ise jamalta hun zara padhen to meri ikhtiyar mein na rahen ye naunihaal jinhen mushkilon se palta hun