main apni jang mein tan-e-tanha sharik tha dushman ke sath sara zamana sharik tha injir o shir bantta phirta hai shahr mein kal tak jo meri nan-e-jawin ka sharik tha mere khilaf hai wo gawahi mein pesh pesh mansuba-bandiyon mein jo mera sharik tha mere qisas ka bhi hua hai wo muddai jo mere qatl mein pas-e-parda sharik tha kar-e-jahan mein bhi wahi mera sharik hai dukh-dard mein jo lamha-ba-lamha sharik tha kashti ke dubne ka mujhe gham nahin magar maujon ki saz-baz mein dariya sharik tha had ho gai thi hum se mohabbat mein kufr ki jaise khuda-na-khwasta wo la-sharik tha 'tishna' ye tujh ko sang-e-malamat usi ke hain pindar-e-ishq mein jo ana ka sharik tha