hum ne to justuju ko bhi hai muddaa kiya yani ki dil ke dard ko husn-e-nawa kiya har jumbish-e-nazar mein nihan tere inqalab mujh ko ghata diya kabhi mujh ko siwa kiya ai kash tera husn hi asl-e-hayat ho teri nazar se hum ne haqiqat ko wa kiya us dashna-e-nazar ka bhala aur kya jawab hamdam mein dil ke chaak hi baitha siya kiya us rahguzar se ab wo na guzrega ai nadim kuchh main ne kah diya tha magar us ne kya kiya main us se sarkhushi mein wahi baat kah gaya kitna bura kiya are kitna bura kiya kya kya jatan kiye na mohabbat mein ai nadim kya puchhte ho kya na kiya aur kya kiya ab baz-gasht ki koi surat nikal sake yun to tere baghair bhi ye dil jiya kiya ek chumti hui si nazar dal kar 'masud' tum ne ek sanam ko khuda kiya