main apni sochon mein ek dariya bana raha tha jo tuti phuti si kashtiyon ko chala raha tha tumhaare jaane ke baad bilkul hansa nahin main shikasta-pa ho ke apne andar ko kha raha tha wo band kamre mein meri yaaden piro rahi thi main bazm-e-imkan se khwab jis ke utha raha tha meri nigah mein ye ek manzar ruka hua hai ki ek sahra tha aur dariya bana raha tha wo tere aane ki thi khushi ki 'atiq-ahmad' jo ghar mein qaidi the sab parinde uda raha tha