hum jise samajhte the sai-e-raegan yaro ab usi se milna hai apna kuchh nishan yaro ruk sake to mumkin hai naghmagi mein dhal jae uth rahi hai sinon mein shorish-e-fughan yaro kya khayal hai tum ko kya malal hai tum ko puchhta koi tum se kyun hun sargiran yaro barq se tasadum ka waqt aa hi jaega dhundte rahoge tum barq se aman yaro sach se pyar karne ka hausla nahin hai aur maslahat ki rahon se dil hai bad-guman yaro kuchh surur to hoga koi nur to hoga jis se zulmat-e-shab mein dil hai naghma-khwan yaro kam-sabaat hoti hai tazgi-o-ranai der tak nahin rahta subh ka saman yaro