main azal ka rah-rau mujh ko abad ki justuju gard-e-rah mere jilau mein sath mere main na tu zard tha chehra magar masrur tha pahlu mein dil barg-e-gul jab le uda chupke se mera rang-o-bu mujh ko apne shahar ka har ek zarra hai aziz ai hawa le ja uda kar khak meri ku-ba-ku waqt ka dariya ki jis mein main kanwal ban kar khula sochiye to bahr hai aur dekhiye to aabju main musawwir hun magar taswir hai khaliq meri rang bharti hai mere khake mein meri aarzu zat ka aaina jab dekha to hairani hui main na tha goya koi mujh sa tha mere ru-ba-ru lazzat-e-khud-agahi ka faiz hai 'arif' ki hum pahron apne aap se rahte hain mahw-e-guftugu