ai dost mujhe soz-e-nihan mar na dale ye nala-e-shab aah-o-fughan mar na dale ek umr se paiwast rag-e-jaan hai magar ab darta hun ki ye tir-e-tapan mar na dale raij hai zaban-bandi ka dastur chaman mein bulbul ko kahin zabt-e-fughan mar na dale khurshid-e-qayamat se siwa soz-e-darun hai ai shaikh tujhe ishq-e-butan mar na dale tu khwab hai ehsas hai naghma hai ki gul hai ye kashmakash-e-wahm-o-guman mar na dale but-khane mein jata hai bade shauq se lekin zahid ko kahin husn-e-butan mar na dale betabi-e-dil ki ye dawa khub hai lekin pahlu mein ye sharbat ki dukan mar na dale had se na guzar jae teri tarz-e-taghaful furqat teri ai jaan-e-jahan mar na dale baitha hun tere saya-e-gesu mein magar ab darta hun ki ye rahat-e-jaan mar na dale ab daulat-e-dil haar ke rota hai 'muzaffar' muflis ko ye ehsas-e-ziyan mar na dale