main bhi ai kash kabhi mauj-e-saba ho jaun is tawaqqo pe ki khud se bhi juda ho jaun abr utthe to simat jaun teri aankhon mein dhup nikle to tere sar ki rida ho jaun aaj ki raat ujale mere ham-saya hain aaj ki raat jo so lun to naya ho jaun ab yahi soch liya dil mein ki manzil ke baghair ghar palat aaun to main aabla-pa ho jaun phul ki tarah mahakta hun teri yaad ke sath ye alag baat ki main tujh se khafa ho jaun jis ke kuche mein baraste rahe patthar mujh par us ke hathon ke liye rang-e-hina ho jaun aarzu ye hai ki taqdis-e-hunar ki khatir tere honton pe rahun hamd-o-sana ho jaun marhala apni parastish ka ho darpesh to main apne hi samne mail-ba-dua ho jaun tisha-e-waqt batae ki taaruf ke liye kin pahadon ki bulandi pe khada ho jaun hae wo log ki main jin ka pujari hun 'nasir' hae wo log ki main jin ka khuda ho jaun