main bhi insan tu bhi insan farq magar itna sa hai mujh ko gahri chot lagi hai tu ne patthar mara hai jo bhi paya is duniya se bhik ki surat paya hai sari umr ki mahrumi ne jab daman phailaya hai ek qatra dariya ki daulat ek qatra palkon ka dhan chaaron taraf wajud-e-adam aasman se uncha hai mujh ko chhu kar jism pahan lete hain jis ke khadd-o-khal wo har dam mere sae se ruh bacha kar chalta hai ghaur karo to in donon mein aisa koi farq nahin khushiyan bhi ji kar dekhi hain gham bhi chhu kar dekha hai is basti mein dhundne nikla jab apne-pan ke sae jism mila bahar se tuta dil andar se bikhra hai aate jate tham jati hai aksar qadmon ki aahat andar ki jaanib hi ghar ka har darwaza khulta hai us se koi baat na kije bas us ki sunte rahiye jis ne aankhen mund ke jalte suraj ko jhuthlaya hai jaane kya kya pina padta hai barsaton ko 'parwaz' tab ja kar banjar dharti par koi parbat ugta hai