paDhne wala koi nahin tha sare likhne wale the

padhne wala koi nahin tha sare likhne wale the
har ujle kaghaz par kitne dhabbe kale kale the

har dam bandha raha pairon se sahra ka anjaan safar
hum ne us ko suraj mana jis ke panw mein chhaale the

hum us anjaani basti mein kaise pahchane jate
tum bhi itni dur khade the jitni dur ujale the

bas ek dagh-e-nakaami tha jo sanson par likkha raha
waise to barish ne apne sab kapde dho dale the

hum ne to udte dekha hai sab ko khuli fazaon mein
kis ke panw mein zanjiren thin kin honton par tale the

is ka matlab main ghar mein tha aur soya tha bistar par
aawezan khidki darwazon par makdi ke jale the

aisa hota bin samjhae baat samajh mein aa jati
nahaq na-danon ne chadar bahar panw nikale the

ghaur se dekho wahan kahin se kuchh baadal guzre honge
aasman ki jaanib hum ne dariya jahan uchhaale the

shayad tum ne dekh liya tha isi liye mahfuz rahe
waise to 'parwaz' sabhi ne hum par dore dale the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close