main bhi KHamosh ujalon ki ziya hun jaise

main bhi khamosh ujalon ki ziya hun jaise
apni dharti pe khuda tera pata hun jaise

us ki aankhon mein qayamat ki haya raushan hai
nim khwabida use soch raha hun jaise

mera maskan na thikana na koi rahguzar
main koi sar-phiri aawara hawa hun jaise

mera dar chhod ke jati hi nahin hai kam-bakht
teri ruswai ko ek main hi mila hun jaise

zindagi tu bhi to mujh se kabhi khul kar na mili
ajnabi tere liye main bhi raha hun jaise

khud se mil kar mujhe shiddat se laga hai 'mansur'
ab talak murde zamiron mein raha hun jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close