main bhi to samjhun ki wo kahte hain kya mere baad

main bhi to samjhun ki wo kahte hain kya mere baad
dil to lena kabhi tum un ka zara mere baad

ab wo kya karte hain kar sakte hain kya mere baad
mere bachchon ki khabar lega khuda mere baad

beti allah tumhein sabr de dai to chali
kis ko ab kah ke purkarungi bua mere baad

wo meri saut thi sab jis ko samajhte the bahan
kis ko malum tha ye haal khula mere baad

harj hi kya hai bata dijiye mujh ko bhi zara
kuchh to kahte the chachi jaan chacha mere baad

main jo mar jaun to bachchon pe na sakhti karna
rakhna aaram se hona na khafa mere baad

aur nandon ki tarah bhi to nahin main bhabi
tum ko bhayya se na karna tha gila mere baad

tum salamat raho duniya mein dua hai ye meri
be-wafa umr kare aur wafa mere baad

is ko kya kahiye ye aamal hain apne apne
mujh se pahle wo mara dafn hua mere baad

kal qayamat ko tumhein aa ke karungi main salam
na sahi aaj to paoge saza mere baad

yaad aaega bahut tum ko ye khana pina
phir kisi shai mein na paoge maza mere baad

itna karna inhen maike mere pahuncha dena
saut kya rakkhegi bachchon ko bhala mere baad

main muafi na agar mangne paun tum se
bakhsh dena miyan tum meri khata mere baad

in ko kumbe mein kisi se nahin ab koi gharaz
na wafa baqi hai in mein na jafa mere baad

jis qadar chahe sata le mujhe ye saut mui
is ko bhi aaegi ek roz qaza mere baad

tham kar arsh khuda se main karungi fariyaad
mere bachchon pe jo tum hoge khafa mere baad

kabhi dar se kabhi diwar se takraenge sar
le ke jab aaenge wo ghar mein dawa mere baad

nabz tak main ne hakimon ko nahin dikhlai
mujh ko munh dhank ke roegi haya mere baad

kam nahin aaj bhi go qadr meri ai 'shaida'
nam hoga mera is se bhi siwa mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close