mera KHuda ho mujh mui nashad ki taraf

mera khuda ho mujh mui nashad ki taraf
amman bhi bolti hain to damad ki taraf

aulad bhukon marti hai ghar mein safai hai
jhadu-phira chala gaya baghdad ki taraf

jannat ki aarzu thi wo duniya se uth gai
ab ja ke kya karun mue shaddad ki taraf

kya jaane kis ne dal diya us ke dil mein bal
mud kar bhi dekhta nahin aulad ki taraf

munsif nigoda dekh ke randi phisal pada
bhadwe ko kya khayal ho rudad ki taraf

ghutna jhuka to apni hi jaanib jhuka bahan
samdhan bhi bolne lagin damad ki taraf

is maut se kisi ko nahin ai bahan najat
lai hai gher gher ke jallad ki taraf

munh par to do hi aankhen hain pahlu tere hazar
ab tujh ko dekhun ya teri ijad ki taraf

sadme pe sadme deta hai din raat marduwa
'shaida' kabhi na jaungi jallad ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close