main bikhar na jaun waraq waraq mujhe taq-e-dil mein sajaiye mera harf harf hai be-baha mujhe is tarah na mitaiye hai kuduraton ke hisar mein ye mohabbaton ka hasin nagar ye dayar-e-ab-e-hayat hai ise sam-kada na banaiye koi aks tak na thahar saka meri chashm-e-fikr-o-khayal mein abhi ajnabi se hain khal-o-khad mujhe aaina na dikhaiye pas-e-zulm aap ki bakhshishen ye inayaten ye sakhwaten koi mang baithe na khun-baha ye lahu ke dagh chhupaiye ho dilon mein husn-e-qalandari ho zaban pe nara-e-sarmadi jo hila de takht-e-sikandari wahi kaj-kulahi dikhaiye hai khizan ki zad pe abhi talak rukh-e-'sumbul' dil-e-yasmin abhi intizar ka waqt hai abhi jashn-e-gul na manaiye