main chahta hun ki har shai yahan sanwar jae tumhaari ruh meri ruh mein utar jae wo ek khayal jo thoda malal jaisa hai tere qarib se guzre agar nikhar jae dahak raha hai jo mujh mein alaw barson se zara sa aankh mein bhar le koi to mar jae zamane-bhar se wo begana ho hi jaega koi hayat ki manind jab mukar jae wo ek khwab jise gungunata rahta hun kabhi to aa ke meri aankh mein thahar jae phir us ke baad main sochunga apne hone ka jo darmiyan hai lamha zara nithar jae kabhi hamid bulae kabhi use 'sajid' akela chand batao kidhar kidhar jae