main chup kam raha aur roya ziyaada yaqinan zamin kam hai dariya ziyaada shab-e-wasl murgh-e-sahar yaad rakhna zaban kat lunga jo roya ziyaada main nazuk-mizaji se waqif hun qasid isi wajh khat mein na likkha ziyaada do bose liye us ne do galiyan din na lena ziyaada na dena ziyaada wo sair-e-chaman ke liye aa raha hai akadna na shamshad itna ziyaada wo utna hi banta hai hirs-e-mujassam khuda jis ko deta hai jitna ziyaada amal par mujhe e'timad apne kam hai khuda ke karam par bharosa ziyaada jo aankhen tere khak-e-dar se hain raushan milaya hai shayad mamira ziyaada mujhe ulfat-e-zulf jab se hai 'parwin' batate hain wo josh-e-sauda ziyaada