usi zamin usi aasman ke sath rahe jahan ke the hi nahin us jahan ke sath rahe nai zamin pe khilate rahe shanakht ke phul jahan rahe wahan apni zaban ke sath rahe saja ke nok-e-palak tak wirasaton ka jamal saqafat-e-watan-e-mezban ke sath rahe hum apne lamha-e-maujud ke hawalon se ghubar-e-qafila-e-raftagan ke sath rahe tarashti rahi mauj-e-hawa-e-waqt hamein chatan the magar aab-e-rawan ke sath rahe kisi shikasta kinare se rabt hi na rakha samundaron mein khule baadban ke sath rahe badan pe jamne na di hum ne gard-e-tanhai khayal-e-anjuman-e-dostan ke sath rahe bas is khayal se kuchh is mein tera zikr bhi tha suni-sunai hui dastan ke sath rahe