main dar pe tere dar-ba-dari se nikal aaya chal kar ba-durusti ghalati se nikal aaya ab masala ye hai tere mahwar mein kab utrun main apni hadon se to kabhi se nikal aaya kab mujh ko nikalna tha ye hairat hai falak ko maidan-e-zamin mein main abhi se nikal aaya is tira-shabi mein kisi jugnu ki chamak hai ya jugnu khud is tira-shabi se nikal aaya ai arsh-e-moalla ke makin tujh ko khabar hai main teri taraf be-khabari se nikal aaya dhyan aaya mujhe raat ki tanha-safari ka yak-dam koi saya sa gali se nikal aaya sau pech-e-rah-e-rahbari tha ki main jis se apne hunar-e-rahrawi se nikal aaya wo lamha-e-awwal ki tu jab aankh mein utra wo waqt bhi kya tha ki ghadi se nikal aaya