sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar din ke phaile kaghaz par apni taswir banaya kar dhup kadi hai nanga sar hi sahraon se guzrunga apne dupatte ke pallu ka mere sar par saya kar ek samundar ki maujon ko ek bhanwar mein rahne de nili aankhon ke sagar ko aise mat chhalkaya kar hont ki surkhi jhank uthti hai shishe ke paimanon se mitti ke bartan mein pani pi kar pyas bujhaya kar dil ki aawazon ka gumbad aabaadi mein phahtta hai dur kisi khamosh kuen mein munh latka kar gaya kar bis baras se ek tare par man ki jot jagata hun diwali ki raat ko tu bhi koi diya jalaya kar 'majid' ne bairag liya hai koi aisi baat nahin idhar udhar ki baaten kar ke logon ko samjhaya kar