main dariya-e-qanaat-ashna hun main mauj-e-nishan-e-boriya hun main aashiq-e-chashm-e-surma-sa hun gar khak bhi hun to tutiya hun tifli hi se wahshat-ashna hun main us daman-e-dasht mein pala hun dekhe jo mujhe jahan ko dekhe main aaina-e-jahan-numa hun chal sakte nahin jo bagh tak bhi taus-sifat adu-e-pa hun diwana jo hun to hun main khamosh zanjir jo hun to be-sada hun ta-gor bhi sifat se na pahunchun bil-farz agar hazar pa hun sohbat ho barar kis tarah yar tu shah hai aur main gada hun har sher mein zulf ki hai tarif is bahr mein mauj-ashna hun sunta nahin ek but mera haal fariyaadi tujh se ai khuda hun kahti hai zaban-e-haal se maut main dard-e-firaq ki dawa hun kahti hai ye ruh tan se har-dam tu khak jo ho to main dawa hun ye tausan-e-umr garm-raftar kahta hai main ab charagh-pa hun ai 'arsh' ziyarat ab karunga main rah-raw-e-dasht-e-karbala hun