makdi ke jalon mein kab se qaid hain raushan-dan mere hae kya sochenge ghar ko dekh ke kal mehman mere ab ke baras to dil ki zamin par aag falak se barsi hai fikr ki gandum ke danon se khali hain khaliyan mere meri zaban par maslahaton ke pahre hain to phir kya hai haq ke alam-bardar hain ab bhi mazdur o dahqan mere aaj hisar-e-dar-o-rasan mein hun par aane wala din shahr ki diwaron par chaspan dekhega farman mere shakl-o-shabahat mein be-shak kuchh farq zara sa tha warna the to masiha bhi insan aur qatil bhi insan mere bar-sar-e-am iqrar agar na-mumkin hai to yunhi sahi kam-az-kam idrak to kar le gun be-shak mat man mere kal 'kausar' mere aangan mein raqs-e-bahaaran tha lekin aaj taraste hain kaghaz ke phulon ko gul-dan mere