main dariya hun magar donon taraf sahil hai tanhai

main dariya hun magar donon taraf sahil hai tanhai
talatum-khez maujon mein meri shamil hai tanhai

mohabbat ho to tanhai mein bhi ek kaif hota hai
tamannaon ki naghma-afrin mahfil hai tanhai

bahut din waqt ki hangama-arai mein guzre hain
inhen guzre hue ayyam ka hasil hai tanhai

hujum-e-zist se duri ne ye mahaul bakhsha hai
akeli main mera kamra hai aur qatil hai tanhai

mere har kaam ki mujh ko wahi tahrik deti hai
agarche dekhne mein kis qadar mushkil hai tanhai

usi ne to takhayyul ko mere parwaz bakhshi hai
khuda ka shukr hai jo ab kisi qabil hai tanhai

mohabbat ki shuaon se tawanai jo milti hai
isi rangini-e-mafhum mein dakhil hai tanhai

khuda hasrat-zada dil ki tamannaon se waqif hai
duaen roz-o-shab karti hui sail hai tanhai

kisi ki yaad hai dil mein abhi tak anjuman-ara
'sabila' kaun samjhega ki mera dil hai tanhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close