main dasht-e-zindagi ko chala tha nikhaarne ek qahqaha lagaya guzarti bahaar ne guzra hun jab sulagte hue naqsh chhodta dekha hai mujh ko ghaur se har rahguzar ne mai-kash ne jam-e-zahr hi munh se laga liya pagal bana diya jo nashe ke utar ne insan hadd-e-nur se aage nikal gaya chhoda magar na us ko lahu ki pukar ne un mah-rukhon ki hum se jo ye be-rukhi rahi jaana padega chand pe kuchh din guzarne karte hain wo sitare bhi ab mujh pe chashmaken chamka diya jinhen meri shab-ha-e-tar ne un gul-kadon ko bhi koi ai kash dekhta jhulsa hai jin ko aatish-e-fasl-e-bahaar ne laun kahan se un ke liye aur gham-gusar jo gham diye hain mujh ko mere gham-gusar ne meri sarisht mein thi mohabbat ki parwarish mujh ko qalam diya mere parwardigar ne bakhsha hai apne husn ka partaw mujhe 'karam' fitrat ke har jamil-o-hasin shahkar ne