bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan thahar thahar ke gire hain aansu bikhar bikhar ke hain khwab raushan sawal mabhut se khade hain ki jaise sinon mein dil nahin hain ufuq ke us par ja ke dekho shikasta muztar jawab raushan wo bekasi hai ki al-atash ki sadaen khamosh ho gai hain kahan hai koi husain yaro ki har taraf hai sarab raushan ajib ghamnak hain hawaen lahu lahu hai faza-e-ganga tadapti maujen shikasta kashti bujhe diye aur habab raushan ghulam gardish mein hai andhera hai dam-ba-khud surkh sa sawera kafan pahan kar nikal chuke hain gharib 'baqar' nawab-raushan