main dasht mein gar khud ko muhayya nahin karta gardish se riha mujh ko bagula nahin karta pahchan ko ek dil hi madad-gar bahut hai so pesh koi aur hawala nahin karta dekha hi nahin aankh ne jis shahr ko pahle wo bhi meri hairat mein izafa nahin karta har zakhm ki lazzat ka parastar hun lekin sairab mujhe ye bhi niwala nahin karta manzil se hai ye kaisi aqidat ki safar mein rahi koi raste pe bharosa nahin karta ab dahr mein aghyar ki rasmon ka chalan hai ab kaam azizon ka tariqa nahin karta kaisa hai meri zat ka bikhrao ki 'rahat' sahra meri wusat ka ahata nahin karta